Poetry

AA bhii jaao kii zindagii kam hai

 
aa bhii jaao kii zindagii kam hai 
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai 
 
vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai 
 
jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai 
 
aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa 
aaj kal un kii dostii kam hai 
 
tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii 'Yamini' kam hai 

0 comments:

Post a Comment